Album: NAWAZISH
Lyrics: DR. NAWAZ DEOBANDI
Singer: POORVA GURU
Music: NAJMUDDIN JAVED
Song : ROKE HUM DOSTON
Label: AUDIO CURRY
Facebook Link : https://www.facebook.com/audiocurry
Nawaz Deobandi ki chaar ghazlen…kuch paigham ke saath
Posted November 22, 2011 by vahshatedil in Urdu poetry. 9 Comments
Ek taveel arrse se maine yahan kuch sher-o-shayari par aap ke nazar kuch nahi rakha, jab ke aisa karna is muhim ka ek ahm maqsad tha. Jo bhi majbooriyan thi main unhe aap ke saamne rakhna theek na samajhta hoon… sirf mazraat ki hi iltija kar sakta hoon.
Berhaal, ab se, Insh’Allah, meri yeh hi koshish hogi ke aindaah aap sab ko shikayat ka mauqa na pesh ho.
Khair ab mudde pe aaye…. Pichle kuch dinon meri zehn mein ek awaaz gunj rahi thi, ek khaaskar buland awaaz jo zindagi ke mukhtalif aur pechida jazbaaton aur kashmakashon ko bemisaal lafzaat mein jodne mein maahir hai…. yeh awaaz hai Janaab Doctor Nawaz Deobandi ki, jin ka ta’aruf aap kai martaba yahan kar chuke honge…..
To lijiye, izzat-maab khwatin-o-hazrat, aapke liye Nawaz sahab ki kuch ghazlen… Mumkin hai, aap mein se kai inko pehle se jaante honge ya tahi dekhi hongi, lekin tab hi shayad jab aap is baar in he padhe, to aapko tab hi itna hi lutf aayega jab aap ne pehle padha ya suna ho.
Aur jinke ke liye yeh Doctor sahab se pehli mulaqaat hai, to in se achcha kya ta’aruf ho sakta hai….. Ek baat aur, isi chahen nasihat maane, chahen mashvara, lekin aap jaise in he padhen, ho sake to apne liye hi inhe tarannum mein padhne ki koshish kare….. Isi mein inka jaado hai! Afsos, main is andaaz mein pesh nahi kar sakta hoon aur aapko khud hi tassavur karna padhega….
Chaliye, pehli ghazal aap ke nazar hai. Choti behr ki ghazal hai, lekin bade mudde cherhti hai….. Khair, aap khud hi dekhen.
Jo safar ikhtiyar karte hai
Voh hi darya ko paar karte hai
Sach to yeh hai ke khud musafir ka
Raaste intezaar karte hai
Un se bichde to phir huya mahsoos
Voh hamen kitna pyaar karte hai
Ham to apnon se kha gaye dhokha
Aap ko hoshiyar karte hai
Jhoothe vaadeh kiya na kar ham se
Ham tera aitbaar karte hai
Ham to us dil Nawaz dushman ko
Doston mein shumaar karte hai
Ek aur dekhiye…… aakhri sher par tawajju chahunga.
Jashn-e-gham-hayat manane nahi diya
Is muflisi ne zahar bhi khaane nahi diya
Ham ne jo sada lohi mein khaya koi fareb
Phir voh fareb auron ko khaane nahi diya
Aandhi ne roshni ki himayat to ki bahut
Lekin koi chiraagh jalaane nahi diya
Ek adh ghar to jal gaya par shahr bach gaya
Ab ke diye ka saath hawaa ne nahi diya
Raazi tha main bhi aur mera dushman bhi sulah par
Kuch doston ne haath milaane nahi diya
Aur yeh bhi dekhiye….
Maani na aql ki dil-e-nadaan ke saamne
Ek ghar bana liya dar-e-janaan ke saamne
Voh sirf rahzaanon hi pe ilzaam kyon rakhe
Jo lut gaya ho apne nigehbaan ke saamne
To mubtala ho ishq mein to phir pata chale
Khushiyan haqeer hai gham-e-janaan ke saamne
Rehne ko ghar na khaane ko roti na koi dost
Itni bhi mushkilen na ho insaan ke saamne
Faqa kashi mein khush hoon magar itna to de mujhe
Sharmindgi na ho kisi mehmaan ke saamne
Aur aakhir mein, jiska matla hi khudi ka ek naara hai….. aur phir
aakhri do sher par aapki khaas tawajju ki iltija karunga.
Yeh baar-e-falak ham ne zameen par nahi rakha
Thak kar kisi kandhe pe kabhi sar nahi rakha
Is ne bhi hawaaon ke abhi rukh nahi badle
Main ne bhi chiraaghon ko bujha kar nahi rakha
Main ne bhi ise khar se tasbeeh nahi di
Is ne bhi mera naam gul-e-tarr nahi rakha
Kyun thokre lagti hai ke jab ham ne kabhi bhi
Raaste mein kisi ke koi patthar nahi rakha
Tareekh se vaaqif hai jo, bete ka inhone
Rakha hai Ali naam, Sikandar nahi rakha